ek gul-e-tar bhi sharar se nikla
bas-ki har kaam hunar se nikla
main tere baad phir ai gum-shudagi
KHema-e-gard-e-safar se nikla
gham nikalta na kabhi sine se
ek mohabbat ki nazar se nikla
ai saf-e-abr-e-rawan tere baad
ek ghana saya shajar se nikla
raste mein koi diwar bhi thi
wo isi Dar se na ghar se nikla
zikr phir apna wahan muddat baad
kisi unwan-e-digar se nikla
hum ki the nashsha-e-mahrumi mein
ye naya dard kidhar se nikla
ek Thokar pe safar KHatm hua
ek sauda tha ki sar se nikla
ek ek qissa-e-be-mani ka
silsila teri nazar se nikla
lamhe aadab-e-tasalsul se chhuTe
main ki imkan-e-sahar se nikla
sar-e-manzil hi khula ai 'bani'
kaun kis rahguzar se nikla
Ghazal
Ek gul-e-tar bhi sharar se nikla
Rajinder Manchanda Bani