ek faqat sahil talak aata hun main
rau mein jaane kaise bah jata hun main
manzilon ki justuju mein bar-ha
manzilon se aage baDh jata hun main
bhagta hun raat jis jangal se dur
subh usi ko samne pata hun main
kis ufuq mein dafn ho jata hai din
har shab is uljhan ko suljhata hun main
mar gaya jo shaKHs mujh mein us ka roz
pattharon par nam khudwata hun main
qufl-e-abjad hun bas ek tartib se
kholne wala ho khul jata hun main
bar bar is shahr ko 'betab' kyun
ba-dil-e-na-KHwasta jata hun main

Ghazal
Ek faqat sahil talak aata hun main
Pritpal Singh Betab