ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai
hijr abhi kuchh din Tala ja sakta hai
yun bhi to kitni chizen hain is ghar mein
mera dil kuchh rose rakha ja sakta hai
KHar agar hain phul bhi to hai thoDe se
daman ko to mahkaya ja sakta hai
kash mera dil wo bachcha hi rahta jo
aasani se bahlaya ja sakta hai
pairahan alfaz ke buTon wala ek
KHamoshi ko pahnaya ja sakta hai
TuT ke hi ehsas mujhe ye ho paya
dard abhi kuchh aur saha ja sakta hai
aap KHuda hone ki koshish mein hain par
sirf aashna bhi to hua ja sakta hai

Ghazal
Ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai
Vineet Aashna