ek barf ka dariya andar tha
dahka hua suraj sar par tha
nafrat ke shoale dahakte the
ek KHauf ka aalam ghar ghar tha
har dil mein the KHadshat kai
har lamha dahshat-manzar tha
zahir mein lagta tha mom ka wo
chhu kar dekha to patthar tha
naghme likhta tha ashkon se
aisa bhi ek suKHnawar tha
jo haar ko jit bana deta
kya koi aisa sikandar tha
hansta rahta tha wo gham mein
gham ka wo shayad KHugar tha
Ghazal
Ek barf ka dariya andar tha
Sahiba Sheheryar