idhar kuchh din se dil ki bekali kam ho gai hai
teri KHwahish abhi hai to sahi kam ho gai hai
nazar dhundla rahi hai ya manazir bujh rahe hain
andhera baDh gaya ya raushni kam ho gai hai
tera hona to hai bas ek surat ka izafa
tere hone se kya teri kami kam ho gai hai
KHamoshi ko junun se dast-bardari na samjho
tajassus baDh gaya hai sar-kashi kam ho gai hai
tera rabt apne gird-o-pesh se itna ziyaada
to kya KHwabon se ab wabastagi kam ho gai hai
sar-e-taq-e-tamanna bujh gai hai sham-e-umid
udasi baDh gai hai be-dili kam ho gai hai
sabhi zinda hain aur sab ki tarah main bhi hun zinda
magar jaise kahin se zindagi kam ho gai hai
Ghazal
Idhar kuchh din se dil ki bekali kam ho gai hai
Irfan Sattar