ibtida kitni mohabbat ki hasin hoti hai
zindagi KHwab pe mail-ba-yaqin hoti hai
aatish-e-rashk se jalta hai dil-e-dard-nawaz
koi uftad agar aur kahin hoti hai
asl iman hai mohabbat jise qismat se mile
kaun kahta hai ki ye dushman-e-din hoti hai
karwaTen dard badalta hai KHuda KHair kare
ek kasak aur nai dil ke qarin hoti hai
'ashk' aankhon mein hain gar ahl-e-mohabbat ki to kya
choT lagti hai jahan Tis wahin hoti hai

Ghazal
Ibtida kitni mohabbat ki hasin hoti hai
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali