اردو हिंदी
Ibtida hun ki intiha hun main | Shaahi Shayari
ibtida hun ki intiha hun main

Ghazal

Ibtida hun ki intiha hun main

Rifat Sultan

;

ibtida hun ki intiha hun main
umr bhar sochta raha hun main

lafz-o-mani se mawara hun main
ek KHamosh iltija hun main

dil mein koi KHushi nahin lekin
aadatan muskura raha hun main

na-tawan ho ke adl chahta hun
waqai qabil-e-saza hun main

dekh kar rang bazm-e-alam ka
naqsh-e-diwar ban gaya hun main

subah ke intizar mein 'rifat'
raat bhar sochta raha hun main