اردو हिंदी
Ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein | Shaahi Shayari
ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein

Ghazal

Ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein

Saqib Lakhnavi

;

ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein
KHair jagah to mil gai dida-e-e'tibar mein

toD raha hai baghban pankhuDiyan bahaar mein
koi to ho fida-e-gul ek nahin mazar mein

mahw hun yaad-e-chehra-e-shahid-e-gul-azar mein
ab ye KHizan-nasib dil ja ke mila bahaar mein

auj-e-nihad-e-taba ki miT ke bhi shan rah gai
mar ke main su-e-asman mil ke uDa ghubar mein

mere libas-e-kohna se haTti nahin hai un ki aankh
shayad ulajh gai nazar jama-e-tar-tar mein

tum ne shab-e-firaq mein dekhin nahin jo haalaten
aaj wo aa ke dekh lo aalam-e-ehtizar mein

jazb-e-shamim-e-zulf hai dana-e-dam se siwa
saikDon dil khinch aae hain gesu-e-mushk-bar mein

faisla ho hi jaega chhanTne de bhiD hashr ki
'saqib'-e-dil-hazin hai aaj tu bhi kisi shumar mein