hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai
nazan hun main ki mera talluq zamin se hai
waqf-e-farogh-e-rang-nazar aur dil ba-zid
pairahan-e-hayat darida kahin se hai
sajdon ki zau nahin hai to zaKHmon ke phul hain
baqi koi to sang ka rishta jabin se hai
kya zikr-e-be-ruKHi ki ye shewa hai husn ka
shikwa mujhe teri nigah-e-awwalin se hai
main tera bankpan hun mujhe hath se na kho
angushtari ki zinat-o-qimat nagin se hai
dhul uD rahi hai dida-e-KHun-naba-bar mein
qaem ab ashk-e-gham ka bharam aastin se hai
hum bhagte phiren ye murawwat se hai baid
jab gardish jahan ko aqidat hamin se hai
aashob-e-rozgar ne ye haal kar daya
baaten kahin ki hain to hawala kahin se hai
'KHawar' kisi bhi rishte ko hasil nahin sabaat
juz rishta-e-wafa jo dam-e-wapsin se hai

Ghazal
Hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai
Khawar Rizvi