اردو हिंदी
Husul-e-faqr gar chahe to chhoD asbab-e-duniya ko | Shaahi Shayari
husul-e-faqr gar chahe to chhoD asbab-e-duniya ko

Ghazal

Husul-e-faqr gar chahe to chhoD asbab-e-duniya ko

Meer Mohammadi Bedar

;

husul-e-faqr gar chahe to chhoD asbab-e-duniya ko
laga de aag yaksar bistar-e-sanjab-o-diba ko

rakhe hain haq-parastan tark-e-jamiyyat mein jamiyyat
mayassar howe ye daulat kahan arbab-e-duniya ko

fareb-e-rang-o-bu-e-dahr mat kha mard-e-aqil ho
samajh aatish-kada is gulshan-e-shadab-e-duniya ko

siyah-mast-e-mai-e-tahqiq ho gar pak-tinat hai
najis mat jam kar tu bhar ke bas KHunab-e-duniya ko

ye hai 'bedar' zahr-aluda mar is se hazar karna
na lena hath mein tu gesu-e-pur-tab-e-duniya ko