husn se haT ke mohabbat ki nazar jae kahan
koi manzil na mile rahguzar jae kahan
tum bahut dur ho hum bhi koi nazdik nahin
dil ka kya Thik hai kam-baKHt Thahar jae kahan
dekhiye KHwab-e-sahar chaTiye diwar-e-azal
raat jati nazar aati hai magar jae kahan
ruKH-e-sahra hai 'KHizan' ghar ki taraf muddat se
hum jo sahra ki taraf jaen to ghar jae kahan
Ghazal
Husn se haT ke mohabbat ki nazar jae kahan
Mahboob Khizan