husn phir fitnagar hai kya kahiye 
dil ki jaanib nazar hai kya kahiye 
phir wahi rahguzar hai kya kahiye 
zindagi rah par hai kya kahiye 
husn KHud parda-war hai kya kahiye 
ye hamari nazar hai kya kahiye 
aah to be-asar thi barson se 
naghma bhi be-asar hai kya kahiye 
husn hai ab na husn ke jalwe 
ab nazar hi nazar hai kya kahiye 
aaj bhi hai 'majaz' KHak-nashin 
aur nazar arsh par hai kya kahiye
        Ghazal
Husn phir fitnagar hai kya kahiye
Asrar-ul-Haq Majaz

