اردو हिंदी
Husn ki jitni baDhin ranaiyan | Shaahi Shayari
husn ki jitni baDhin ranaiyan

Ghazal

Husn ki jitni baDhin ranaiyan

Mohammad Usmaan Arif

;

husn ki jitni baDhin ranaiyan
ishq ke sar ho gain ruswaiyan

us nigah-e-naz ka aalam na puchh
chhu gai jo qalb ki gahraiyan

wo harim-e-naz mein bechain hain
yaad aati hain meri tanhaiyan

un hasin aaankhon mein aansu aa gae
aah mere ishq ki ruswaiyan

mahfil-e-duniya ko Thukra dun magar
jalwa-farma hain teri ranaiyan

husn ke daman pe dhabba aa gaya
dur ja pahunchen meri ruswaiyan

mere qadmon mein hai aish-e-jawedan
tere gham ki hain karam-farmaiyan

ishq ki fitrat hai 'arif' bebasi
chal nahin saktin teri KHud-araiyan