اردو हिंदी
Husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala | Shaahi Shayari
husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

Ghazal

Husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

Hasan Barelvi

;

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala
ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala

aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe
bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala

bismilon ko zaKHm zaKHmon ko mubarak lazzaten
su-e-maqtal phir koi tegh-o-namak-dan le chala

KHun-e-nahaq ki haya boli zara munh Dhank lo
naz jab un ko sar-e-KHak-e-shahidan le chala

kaT gaya aashiq sar-e-bazar sauda bik gaya
jaan-e-laila ishq ne dil husn-e-KHuban le chala

KHak-e-ashiq rokne ko dur tak lipTi gai
jab samand-e-naz ko wo garm-jaulan le chala

mere ghar tak panw paD kar un ko laya tha niyaz
naz daman khinchta su-e-raqiban le chala

dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the
dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala