husn har naunihaal rakhta hai
koi tujh sa jamal rakhta hai
mujh se ho tere jaur ka shikwa
ye bhala ehtimal rakhta hai
tujh se kuchh apna arz-e-haal kare
dil kab itni majal rakhta hai
mah kya hai ki jis se dun tashbih
husn tu be-zawal rakhta hai
jite-ji us se aashiq-e-mahjur
kab umid-e-visal rakhta hai
tu kahan aur us ka wasl kahan
ye KHayal-e-muhaal rakhta hai
ji mein 'bedar' tere milne ka
aah kya kya KHayal rakhta hai
Ghazal
Husn har naunihaal rakhta hai
Meer Mohammadi Bedar