husn-e-zan kaam lije bad-gumani phir sahi
be-takalluf aur kije mehrbani phir sahi
aaj jo biti hai dil par majra us ka suno
dastan-e-ishrat-e-ahd-e-jawani phir sahi
zarf se kam waqt se pahle nahin milti yahan
aaj zahr-e-gham hi pi lo arghawani phir sahi
tegh kis ke hath mein thi kaun tha sina-sipar
ye kahani aaj sun lo wo kahani phir sahi
sham-e-fanus-e-talab har rang mein raushan rahe
KHun-fishani ke maze lo gul-fishani phir sahi
zehn ko manus kar deta hai lafzon ka tilism
muddaa kah dijiye jadu-bayani phir sahi
kis mein himmat hai 'faridi' kaun ye un se kahe
muskura kar haal sun lo lan-tarani phir sahi
Ghazal
Husn-e-zan kaam lije bad-gumani phir sahi
Moghisuddin Fareedi