اردو हिंदी
Husn-e-surat mein garche bud nahin | Shaahi Shayari
husn-e-surat mein garche bud nahin

Ghazal

Husn-e-surat mein garche bud nahin

Kishan Kumaar Waqaar

;

husn-e-surat mein garche bud nahin
par kahan ishq ki numud nahin

nisti jalwa-gar hai hasti mein
kuchh adam ka mere wajud nahin

hum ne awwal se dekha aaKHir tak
zat haq ki nabud-o-bud nahin

tere husn-e-malih ke qurban
kis ke wird-e-zaban durud nahin

mere saqi ke pesh saghar-e-chashm
shishe ko kab sar-e-sujud nahin

dagh-e-sozan hai jism mein wo uzw
sang-e-afat se jo kabud nahin

bagh hai dagh gar na ho lala
bazm wo kya hai jis mein ud nahin

bas-ki hai kund naKHun-e-mizhgan
uqda-e-ashk ki kushud nahin

hum jo kahte the tum se rose 'waqar'
juz zarar aashiqi mein sud nahin