husn-e-sarshaar tera daru-e-be-hoshi hai
hosh mein kaun hai kis ko sar-e-mai-noshi hai
kuchh agar be-adabi howe to mazur rakho
sohbat-e-mai-kashi-o-alam-e-be-hoshi hai
jon hilal aap se yaksar main hua hun KHali
tujh se ai mehr-laqa shauq-e-ham-aghoshi hai
bang-e-gul bais-e-gardan-shikni hai gul ki
ghuncha salim hai ki jab tak use KHamoshi hai
sar chaDha jae hai ai zulf kasu ki to magar
us pari-ru se tujhe aaj jo sargoshi hai
aap ho jae hai us tegh nigah ke aage
garche aaine ke jauhar se zara poshi hai
umr ghaflat hi mein 'bedar' chali jaani hai
yaad hai jis ki gharaz us se faramoshi hai
Ghazal
Husn-e-sarshaar tera daru-e-be-hoshi hai
Meer Mohammadi Bedar