اردو हिंदी
Husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin | Shaahi Shayari
husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin

Ghazal

Husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin

Hasan Aabid

;

husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin
ye jafaon pe jafa ab mujhe manzur nahin

zulf-e-zanjir sahi dil bhi giraftar magar
main tere halqa-e-adab ka mahsur nahin

dil ka sauda hai jo paT jae to behtar warna
main bhi majbur nahin aap bhi majbur nahin

daman-e-dil se ye begana-rawi itna gurez
tum to ek phul ho kanTon ka bhi dastur nahin

chand jam aur ki maiKHana-e-jaan tak pahunchen
DhunDne wale mujhe mujh se bahut dur nahin

sab libason mein hain poshida gunahon ki tarah
dil-e-bebak bhi mahfil ke tain aur nahin

har suKHan hosh ka hai mufti-e-hairan ke sath
sab piye baiThe hain aur koi bhi maKHmur nahin

sab rasan-basta-e-azadi-e-iman hue
ab koi mere siwa banda-e-majbur nahin

us se mil kar bhi udas us ki judai bhi garan
dil ba-har-haal kisi taur bhi masrur nahin