husn-e-kafir-shabab ka aalam 
sar se pa tak sharab ka aalam 
araq-alud chehra-e-taban 
shabnam-o-aftab ka aalam 
wo meri arz-e-shauq-e-behad par 
kuchh haya kuchh itab ka aalam 
allah allah wo imtizaj-e-latif 
shoKHiyon mein hijab ka aalam 
hama nur-o-surur ki duniya 
hama husn-o-shabab ka aalam 
wo lab-e-juebar o mausam-e-gul 
wo shab-e-mahtab ka aalam 
zanu-e-shauq par wo pichhle pahar 
nargis-e-nim-KHwab ka aalam 
der tak iKHtilat-e-raaz-o-niyaz 
yak-ba-yak ijtinab ka aalam 
lakh rangin-bayaniyon pe meri 
ek sada jawab ka aalam 
gham ki har mauj mauj-e-tufan-KHez 
dil ka aalam hubab ka aalam 
dil-e-mutrib samajh sake shayad 
ek shikasta rubab ka aalam 
wo saman aaj bhi hai yaad 'jigar' 
han magar jaise KHwab ka aalam
 
        Ghazal
Husn-e-kafir-shabab ka aalam
Jigar Moradabadi

