اردو हिंदी
Husn-e-jaanan nazar nahin aata | Shaahi Shayari
husn-e-jaanan nazar nahin aata

Ghazal

Husn-e-jaanan nazar nahin aata

Masood Maikash Muradabadi

;

husn-e-jaanan nazar nahin aata
aah mein kuchh asar nahin aata

shoala-e-gham nazar nahin aata
ab koi bhi idhar nahin aata

dil shab-e-gham se ho gaya manus
ab KHayal-e-sahar nahin aata

ishq ehsan se ibarat hai
ishq-e-nadan nazar nahin aata

hosh-mandon ki is KHudai mein
koi diwana-gar nahin aata

kab se hain farsh-e-rah dida-o-dil
aane wala magar nahin aata

jab se tum ne nigah pheri hai
koi apna nazar nahin aata

jab se 'maikash' bahaar aai hai
daman-e-dil nazar nahin aata