husn-e-be-mehr ko parwa-e-tamanna kya ho
jab ho aisa to ilaj-e-dil-e-shaida kya ho
kasrat-e-husn ki ye shan na dekhi na suni
barq larzan hai koi garm-e-tamasha kya ho
be-misali ke hain ye rang jo ba-wasf-e-hijab
be-naqabi par tera jalwa-e-yakta kya ho
dekhen hum bhi jo tere husn-e-dil-ara ki bahaar
is mein nuqsan tera ai gul-e-rana kya ho
hum gharaz-mand kahan martaba-e-ishq kahan
hum ko samjhen wo hawas-kar to beja kya ho
dil-farebi hai teri bais-e-sad josh o KHarosh
haal ye ho to dil-e-zar shakeba kya ho
raat din rahne lagi us sitam-ijad ki yaad
'hasrat' ab dekhiye anjam hamara kya ho
Ghazal
Husn-e-be-mehr ko parwa-e-tamanna kya ho
Hasrat Mohani