hujum-e-gham mein kis zinda-dili se
musalsal khelta hun zindagi se
qarib aate hain lekin be-ruKHi se
purane dost bhi hain ajnabi se
farishte dam-ba-KHud iblis hairan
tawaqqo ye kahan thi aadmi se
nizam-e-asr-e-nau ye kah raha hai
andhere phailte hain raushni se
chale aae haram se mai-kade mein
pareshan ho gae jab zindagi se
lagi hai aag jab se gulistan mein
bahut Darne laga hun raushni se
na ho jo tarjuman-e-waqt 'razmi'
bhala kya faeda us shairi se
Ghazal
Hujum-e-gham mein kis zinda-dili se
Muzaffar Razmi