hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho
mile wo raat ki jis raat ki sahar gum ho
maza to jab hai ki aawargan-e-shauq ke sath
ghubar ban ke chale aur rahguzar gum ho
hamari tarah KHarab-e-safar na ho koi
ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho
chale hain hum bhi charagh-e-nazar jalae hue
ye raushni bhi kahin rah mein agar gum ho
talash-e-dost hai dil ko magar KHuda jaane
kahan kahan ye bhaTakta phire kidhar gum ho
chaman chaman hain wo nashw-o-numa ke hangame
gulon ko DhunDne jae to KHud nazar gum ho
suKHan ki jaan hai husn-e-bayan magar 'taban'
na yun ki lafz hi rah jaen fikr-e-tar gum ho
Ghazal
Hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho
Taban Ghulam Rabbani