hui na aks-e-ruKH-e-dard se najat meri
badal chuki hai kai aaine hayat meri
khule the honT ki wo pas se guzar bhi gaya
bikhar ke rah gai mauj-e-hawa mein baat meri
kabhi sukut kabhi qahqahe kabhi aansu
badalti rahti hai har lamha kaenat meri
chalo ghamon ki kitaben supurd-e-ab karen
wo kah raha hai kahani hai be-sabaat meri
sulag rahi hai tere jism ki mahak har-su
badal gai hai tere pairahan se raat meri
laraz raha tha talatum mein zard sa patta
likhi hui thi samundar pe wardat meri
na dab saki kahin 'rashid' mere lahu ki sada
har ek hujum mein tanha rahi hai zat meri

Ghazal
Hui na aks-e-ruKH-e-dard se najat meri
Mumtaz Rashid