hue jab se mohabbat-ashna hum
nahin late zaban par muddaa hum
saadat hai jo ban jaen jahan mein
kisi majbur dil ka aasra hum
chalae tir chhup-chhup kar jinhon ne
karenge un ke haq mein bhi dua hum
miTega dagh-e-sajda kab jabin se
KHuda jaane banenge kab KHuda hum
hamare darmiyan kyun fasle hain
kabhi socha na hum ne mil ke baham
KHamoshi maslak-e-sahab-dilan hai
kisi ko bhi nahin kahte bura hum
hamari ruh naghma-KHwan rahegi
fana ho kar nahin honge fana hum
hamein hai e'timad apni wafa par
nahin karte kisi ka bhi gila hum
zamana-saz nikle tum to kya hai
zara si baat ko kya den hawa hum
agar izzat na di ahl-e-haram ne
uTha laenge apna boriya hum
tasawwur bhi nahin baqi KHushi ka
gham-e-duniya mein yun hain mubtala hum
musalsal KHamushi ke baad 'rifat'
sar-e-maqtal hue hain lab-kusha hum
Ghazal
Hue jab se mohabbat-ashna hum
Rifat Sultan