hue aaj buDhe jawani mein kya the
jab uTThe the zanu se hath aashna the
jahan ki to har chiz mein ek maza tha
na samjhe ki kis shai ke hum mubtala the
na kafir se KHilat na zahid se ulfat
hum ek bazm mein the pa sab se juda the
na tha mere jangal mein aazad koi
bagule bhi paband-e-zulf-e-hawa the
mazar-e-gharib tassuf ki ja hai
wo sote hain phirte jo kal ja-ba-ja the
bana kar bigaDa hamein kyun jahan mein
ye sab harf kya sahw-e-kilk-e-qaza the
kiye aaKHiri nale do-chaar main ne
wahi nale bang-e-shikast-e-dara the
KHuda jaane duniya mein kis ko thi rahat
'hawas' hum to jine se apne KHafa the
Ghazal
Hue aaj buDhe jawani mein kya the
Mirza Mohammad Taqi Hawas