hua sarkash andhera saKHt-jaan hai
charaghon ko magar kya kya guman hai
yaqin to joD deta hai dilon ko
koi shai aur apne darmiyan hai
abhi se kyun lahu rone lagi aankh
pas-e-manzar bhi koi imtihan hai
wahi be-faiz raaton ka tasalsul
wahi main aur wahi KHwab-e-giran hai
mere andar hai an-pyasa kinara
mere atraf ek dariya rawan hai
Ghazal
Hua sarkash andhera saKHt-jaan hai
Shahnaz Nabi