hua hun in dinon mail kisi ka
na tha main is qadar ghail kisi ka
diwane dil kun samjhata hun lekin
kahan lag hoe koi hail kisi ka
hua hai dil-dahi ka tum pe tawan
nahin aasan lena dil kisi ka
KHam-e-gesu sin apne tu girah khol
khule ta uqda-e-mushkil kisi ka
kiya yak war mein kai dil ki phanken
laga hai hat kya kaamil kisi ka
gali mein jis ki shor-e-karbala hai
salona shoKH hai qatil kisi ka
kaho us lala-e-gulzar-e-jaan kun
kabhi to dekh dagh-e-dil kisi ka
'siraj' ab soz-e-dil mera wo jaane
jo hai parwana-e-mahfil kisi ka
Ghazal
Hua hun in dinon mail kisi ka
Siraj Aurangabadi

