اردو हिंदी
Hota nahin zauq-e-zindagi kam | Shaahi Shayari
hota nahin zauq-e-zindagi kam

Ghazal

Hota nahin zauq-e-zindagi kam

Ahmad Nadeem Qasmi

;

hota nahin zauq-e-zindagi kam
buniyaad-e-hayat hai tera gham

ehsas-e-jamal ubhar raha hai
jab se tera iltifat hai kam

tere hi ghamon ne mujh ko baKHshi
kaunde ki lapak ghazal ka ram

saman-e-sabaat hain safar mein
ummid ki pech rah ke KHam

shamon ki lawen hain ya zabanen
aansu hain ki ehtijaj-e-paiham

anjum se khilaegi shagufe
shabnam se ladi hui shab-e-gham

tufan ka muntazir khaDa hai
ye ain sahar ko shab ka aalam