hosh o KHirad se begana ban ja 
har fasl-e-gul mein diwana ban ja 
aa dil ki basti aabaad kar de 
ek shab charagh-e-virana ban ja 
KHalwat mein kya hai jalwat mein gum ho 
zinda haqiqat-e-afsana ban ja 
be-soz hai bazm-e-ilm-o-danish 
sham-e-yaqin ka parwana ban ja 
kitni piyega jam o subu se 
mast-e-nigah-e-mastana ban ja
        Ghazal
Hosh o KHirad se begana ban ja
Sikandar Ali Wajd

