hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya
kya mujhe kahna tha us se aur kya kya kah gaya
us ki jaanib dekh kar aaKHir ye mujh ko kya hua
ek sach honTon pe mere aate aate rah gaya
jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar
maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya
zulm ki buniyaad par us ne banaya tha mahal
sabr ki bas ek hi Thokar se wo bhi Dhah gaya
tum ne to aansu hi dekhe hain tumhein malum kya
dard ka dariya meri aankhon se ho kar bah gaya
dosti qaem rahe har haal mein ye soch kar
doston ne jo diye wo zaKHm hans kar sah gaya
zindagi ne har qadam par neamaten taqsim kin
aur 'sahil' umr ke zer-o-zabar mein rah gaya
Ghazal
Hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya
Mohammad Ali Sahil