honTon par mahsus hui hai aankhon se madum rahi hai
phulwari ki nighat-dulhan phulwari mein ghum rahi hai
us ka aanchal aur aaweze mera matha chum rahi hai
phir bhi chashm-e-bad-tinat pur-ulfat la-malum rahi hai
har mai-kash ki zehni laghzish is mehwar par ghum rahi hai
jaise wo sambhla baiTha hai jaise mahfil jhum rahi hai
chunna hai to muskane se pahle chun lo koi kali bhi
gulshan mein khilne se pahle tak be-shak masum rahi hai
tum ishrat se farigh ho kar mujh se puchho main waqif hun
kis kis bechaare ki KHwahish naghmon se mahrum rahi hai
is se us se meri babat rozana sargoshi yani
bante kyun ho meri haalat tum ko bhi malum rahi hai
pine walon ke kahne se gham se chhuTkara pane ko
pi kar bhi meri tanhai mayus o maghmum rahi hai
aariz aariz subh-e-bahaaran gesu gesu sham-e-nasheman
wo kya jaane jis ki ghaflat jalwon se mahrum rahi hai
main taKHili naKHlistan mein aankhen band kiye baiTha hun
meri mustaqbil-andeshi manzil manzil ghum rahi hai
warna sidhe-sade sajde warna sidhi-sadi hamden
duniya kya aur kyun ke hathon bhaari patthar chum rahi hai
hamdardi ke munh par fan ki aankhen khulti hain ai 'shad'
goya insani hamdardi shaer ka maqsum rahi hai
Ghazal
HonTon par mahsus hui hai aankhon se madum rahi hai
Shaad Aarfi