honT khulen to nikle wah
duniya ek tamasha-gah
rashk-e-falak hai ye basti
har chehra hai mahr o mah
ab ke hath wo khela hai
danw par hain izz-o-jah
rang bahut se aur bhi hain
har shai kab hai safed o siyah
sath kisi ko chalna hai
sujh gai hai mujh ko rah
ab ke bahaar ki yurish hai
gul-buTe hain us ki sipah
pagal hain jo sahra se
mang rahe hain aab o giyah
kaam hazaron karne hain
kya kya rakkhen pesh-e-nigah
us ki aamad aamad hai
dil aankhen hain chashm-ba-rah
garmi si ye garmi hai
mang rahe hain log panah
Ghazal
HonT khulen to nikle wah
Obaid Siddiqi