اردو हिंदी
Ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein | Shaahi Shayari
ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein

Ghazal

Ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein

Anwar Nadim

;

ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein
jaane kis ki khoj mein kab se phirte hain bazaron mein

umr ganwai khoj mein jis ki DhunD phire gulzaron mein
qismat ki ye KHubi dekho aan mila viranon mein

koi nahin jo tere aage husn ka paikar ban kar aae
shardha ki kaliyan muskaen qudrat ki saughaton mein

aap ki KHushiyon ki sarhad se dur hamare Dere hain
DhunDenge kuchh log hamein bhi aap ke in afsanon mein

aan mile to bhul ka jadu hum donon par tari hai
kaun batae kal kya guzri furqat ki barsaton mein

marne ki KHatir jina hi jine ka dastur nahin
nam hamara aage hoga duniya ke nakaron mein