ho gar aise hi meri shakl se bezar bahut
tum salamat raho bande ke KHaridar bahut
ham-digar jab KHafagi aai to jhagDa kya hai
tum ko KHwahinda bahut hum ko tarah-dar bahut
aaj ke rone mein ji Dub chala tha lekin
nala-e-dil ne rakha mujh ko KHabar-dar bahut
shaiKH mujh ko na Dara gor ke andhiyare se
hijr ki kaTi hain main ne to shab-e-tar bahut
dekhiye ab ki tab-e-ishq se kyunkar bite
ghaalib aaya hai tabiat pe ye aazar bahut
sach kaho qatl pe kis ke ye kamar bandhi hai
in dinon hath mein tum rakhte ho talwar bahut
'qaem' aata hai mujhe rahm jawani pe teri
mar chuke hain isi aazar ke bimar bahut
Ghazal
Ho gar aise hi meri shakl se bezar bahut
Qayem Chandpuri