ho chuke gum sare KHadd-o-KHal manzar aur main
phir hue ek aasman sahil samundar aur main
ek harf-e-raaz dil par aaina hota hua
ek kohar chhai hui manzar-ba-manzar aur main
chheD kar jaise guzar jati hai doshiza hawa
der se KHamosh hai gahra samundar aur main
kis qadar ek dusre se lagte hain manus 'zeb'
nariyal ke peD ye sahil ke patthar aur main
Ghazal
Ho chuke gum sare KHadd-o-Khaal manzar aur main
Zeb Ghauri