ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona
ab tere hath hai mushkil meri aasan hona
tha jo maqsum mein sharminda-e-ehsan hona
ghair ke hath raha dafn ka saman hona
husn ka ishq ki wadi mein numayan hona
ramz tha din ko sar-e-tur charaghan hona
lazzat-e-dard-e-jarahat to mere dil se na puchh
pahlu-e-zaKHm mein lazim tha namak-dan hona
ek qayamat ka saman tha tera ai subh-e-watan
parda-e-sham-e-ghariban ka numayan hona
KHana-barbaadiyan har samt se ghere hain mujhe
dar-o-diwar pa likkha hai bayaban hona
imtihan-gah-e-mohabbat mein na jaane kya ho
qahr ka samna hai tegh ka uryan hona
aa rahi hain ye umidon ki sadaen paiham
go safar saKHt hai lekin na hirasan hona
meri turbat bhi bani aisi zamin pe 'alim'
jis ki taqdir mein likkha tha bayaban hona
Ghazal
Ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi