ho charag-e-ilm raushan Thik se
log waqif hon nai taknik se
ilm se raushan to hai un ka dimagh
dil ke goshe hain magar tarik se
rae us par mat karo qaem koi
jaante jis ko nahin nazdik se
martaba kis ka hai kaisa kya pata
baz aana chahiye tazhik se
hath phailana muqaddar ban na jae
peT bharna chhoD dije bhik se
juD gaya shisha bharose ka magar
rah gae hain baal kuchh barik se
jis ka maqsad adl o amn o aatishi
dil hai wabasta usi tahrik se
be-sabab 'raghib' taDap uThta hai dil
dil ko samjhana paDega Thik se
Ghazal
Ho charag-e-ilm raushan Thik se
Iftikhar Raghib