hisar-e-qarya-e-KHunbar se nikalte hue 
ye dil malul tha aazar se nikalte hue 
baDi hi der talak dhup mujh ko chhu na saki 
tumhaare saya-e-diwar se nikalte hue 
ki phir se taKHt ko aana tha mere qadmon mein 
main pur-yaqin tha darbar se nikalte hue 
shua-e-nur ke phuTe se jaan larazti thi 
tumhaari garmi-e-ruKHsar se nikalte hue 
tumhaare dhyan mein gum ho gai thi mahki hawa 
hudud-e-jada-e-gulzar se nikalte hue 
main lauT aaya tujhe chhoD kar magar aadha 
wahin raha dar-o-diwar se nikalte hue 
faza mein der talak KHub jagmagate 'shumar' 
wo lafz shoKHi-e-guftar se nikalte hue
        Ghazal
Hisar-e-qarya-e-KHunbar se nikalte hue
Akhtar Shumar

