اردو हिंदी
Hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha | Shaahi Shayari
hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha

Ghazal

Hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha

Alamtaab Tishna

;

hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha
rasan rasan meri wahshat gulu gulu main tha

jo rah gaya nigah-e-sozan-e-mashiyyat se
qaba-e-zist ka wo chaak-e-be-rafu main tha

zamana hansta raha meri KHud-kalami par
tere KHayal se masruf-e-guftugu main tha

tha aaine mein shikast-e-ghurur-e-yaktai
ki apne aks ke parde mein hu-ba-hu main tha

tu apni zat ke har pech-o-KHam se puchh ke dekh
qadam qadam meri aahaT thi ku-ba-ku main tha

har ek wadi-o-kohsar se guzarta hua
jo aabshaar bana tha wo aabju main tha

KHutan KHutan thi shalang-e-ghazal mere liye
badan badan mera nashsha subu subu main tha

tamam umr ki diwangi ke baad khula
main teri zat mein pinhan tha aur tu main tha

maal-e-umr-e-mohabbat hai bas yahi 'tishna'
meri talash tha wo us ki justuju main tha