hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo
ba-qadr-e-zarf shab-e-gham ka ehtimam karo
agar zara bhi riwayat ki pasdari hai
KHirad ke daur mein rasm-e-junun ko aam karo
KHuda gawah faqiron ka tajraba ye hai
jahan ho subh tumhaari wahan na sham karo
na rind o shaiKH na mulla na mohtasib na faqih
ye mai-kada hai yahan sab ko shad-kaam karo
wahi hai tesha bayaban wahi hai dar wahi
jo ho sake to zamane mein tum bhi nam karo
KHiram-e-yar ki aahaT si dil se aati hai
sarishk-e-KHun se charaghan ka ehtimam karo
asir-e-zulf hamin ek nahin hain 'mir' bhi the
magar ab uTh ke do-alam ko zer-e-dam karo
'arrib' dekho na itrao chand sheron par
ghazal wo fan hai ki 'ghaalib' ko tum salam karo
Ghazal
Hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo
Sulaiman Areeb