hisab-e-dostan dar-dil nahin ab
palaTna baaton se mushkil nahin ab
kiya karte the jo jaan bhi nichhawar
bharose ke bhi wo qabil nahin ab
samundar ki haden baDhne lagi hain
nazar aata kahin sahil nahin ab
rahe the jo sharik-e-gham shab-o-roz
KHushi dekhi to wo shamil nahin ab
qahr Dhata raha jo husn-e-jaanan
bahut afsos wo qatil nahin ab
burai karna la-hasil hai lagta
sunen do kan jo fazil nahin ab
banen behtar bhi ab insan kaise
banane ko wo aab-o-gil nahin ab
bhala tai bhi ho ye rasta to kaise
nigahon mein koi manzil nahin ab
tasahul chhoDiye waqt-e-amal hai
guzar paegi yun kahil nahin ab
karen kya zindagi qurban us par
raha jo zist ka hasil nahin ab
Ghazal
Hisab-e-dostan dar-dil nahin ab
Ozair Rahman