hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba
kya nasibe ki burai hai ilahi tauba
kitne kanon ke wo kachche hain ki allah ki panah
kya raqibon ki ban aai hai ilahi tauba
nala ho aah ho fariyaad ho ya zari ho
yar tak sab ki rasai hai ilahi tauba
ho chuka qatl jahan tegh bhi uThne ki nahin
kis qadar narm kalai hai ilahi tauba
shaiKH-sahib bhi nahin bach ke yahan se nikle
kis qadar un ko pilai hai ilahi tauba
dil-lagi aap se ki KHalq mein badnam hue
nek-nami ye kamai hai ilahi tauba
chah kar tum ko bhala aur ko kyunkar chahun
wah kya dil mein samai hai ilahi tauba
le gae chhin ke dil mail nahin chitwan par
kitni dida mein safai hai ilahi tauba
bosa manga to kaha shukr-e-KHuda achchha hun
baat kya jald uDai hai ilahi tauba
nahin malum ki kis shaKHs ka munh dekha hai
aaj phir gham ki chaDhai hai ilahi tauba
kucha-e-ishq ki sach puchho to hum ne 'parwin'
kis qadar KHak uDai hai ilahi tauba
Ghazal
Hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba
Parveen Umm-e-Mushtaq