hijr ka din hai ye guzarne de
ai gham-e-yar sham Dhalne de
umr thoDi hai pyas sadiyon ki
shabnami rut sakun se marne de
us ne manga hai mujh se ek tohfa
ab to jaan hi ye nazr karne de
ho jo mumkin to abr barsa de
hiddat-e-gham mein warna jalne de
jazba-e-shauq lo bhi dega use
paikar-e-sabr mein to Dhalne de
koi lamha to ho saKHi aisa
kasa-e-did ko jo bharne de
phir uwais-ul-hasan main ye chahun
zindagi baam se utarne de

Ghazal
Hijr ka din hai ye guzarne de
Owaisul Hassan Khan