hijr bana aazar safar kaise kaTta
ishq ke rog hazar safar kaise kaTta
dhup ka bojh saron par aaKHir aan gira
KHatm hue ashjar safar kaise kaTta
kya batlaen apni KHali jholi mein
sansen thin do-chaar safar kaise kaTta
dekhte dekhte nazron se madum hue
raston ke aasar safar kaise kaTta
pichhe behis din ke KHauf tha aur aage
raat ki thi diwar safar kaise kaTta
apna bojh uTha kar apne kandhon par
chalna tha dushwar safar kaise kaTta
aankhen thin viran nazar kaise aata
dil to tha bimar safar kaise kaTta
nange panw dhup mein chalte rahne ki
koshish thi bekar safar kaise kaTta
kuchh to jazire binai se ojhal the
naw thi be-patwar safar kaise kaTta
ek duje ke sang aDi thin sab kunjen
TuT gai phir Dar safar kaise kaTta
Ghazal
Hijr bana aazar safar kaise kaTta
Ali Akbar Mansoor