hazaron ranj mile sainkaDon malal mile
hum apne aap se jab bhi mile niDhaal mile
har ek shaKHs se milna kahan munasib tha
mile unhin se jahan dil mile KHayal mile
wafa ki rah mein kis par na tohmaten aain
koi to aisi zamane mein ek misal mile
nahin hai tere jahan mein koi bhi shai aisi
jise uruj mile aur na phir zawal mile
main apne aap se bahar nikal nahin paya
jo tu mila to mujhe mere haal-chaal mile
jawab DhunDne nikla jo kal mera mazi
labon pe haal ke is ko nae sawal mile
meri talash jahan ja ke KHatm ho 'salim'
kahin to aisa koi sahab-e-kamal mile
Ghazal
Hazaron ranj mile sainkaDon malal mile
Salim Shuja Ansari