hazaron gham hain is manzil mein manzil dekhne wale
kaleja tham le apna mera dil dekhne wale
ye dil walon ko talim-e-sujud pa-e-jaanan hai
sar-e-har-mauj ko barpa-e-sahil dekhne wale
har ek zarre mein poshida hai ek tughyan-e-madhoshi
sambhal kar dekhna paimana-e-dil dekhne wale
miTata ja raha hun naqsh-e-pa sahra-nawardi mein
kahan DhunDenge mujh ko meri manzil dekhne wale
tere dil mein hazaron mahfilen jalwon ki pinhan hain
falak par anjum-e-taban ki mahfil dekhne wale
fishaar-e-zabt se laila kahin majnun na ho jae
na dekh ab su-e-mahmil su-e-ahmil dekhne wale
kisi ka aks hun 'ehsan' muraat-e-haqiqat mein
mujhe samjhenge kya taswir-e-baatil dekhne wale
Ghazal
Hazaron gham hain is manzil mein manzil dekhne wale
Ehsan Danish