hazar tarah se gardish mein aaftab raha
nigah-e-naz ka lekin kahan jawab raha
wo aa gae hain to ab chhoDo is fasane ko
kahan kahan main phira kis tarah KHarab raha
suna raha hun unhen jhuT-muT ek qissa
ki ek shaKHs mohabbat mein kaamyab raha
agarche aur bhi fitne uThe qayamat ke
tera shabab hi aalam mein intiKHab raha
rah-e-hayat mein hum chaak-e-dil se dekhenge
jahan jahan bhi ruKH-e-dahr par naqab raha
Ghazal
Hazar tarah se gardish mein aaftab raha
Khalilur Rahman Azmi