hazar shukr kabhi tera aasra na gaya 
magar ye hai dil-e-adam ki waswasa na gaya 
wo jab ki zist bhi ek fan thi wo zamana gaya 
ab ek chiKH ki andaz-e-shairana gaya 
bahut hi shor tha ahal junun ka par ab ke 
KHirad se aa ke koi zor aazma na gaya 
chali hai ab ke baras wo hawa-e-shiddat-e-barf 
dayar-e-dil ki taraf koi qafila na gaya 
bahut hi sasti hai bazar-e-jaan mein jins-e-wafa 
are ye qaht-talab dil ka karKHana gaya 
main toD toD ke KHud ko banata rahta hun 
ab ek umr hui phir bhi bachpana na gaya 
bas ek ghunT mohabbat ka pi ke pachhtae 
tamam umr wo ek talKH zaiqa na gaya 
kabhi bikhar gae baaton mein misl-e-nighat-e-gul 
kabhi kali ki tarah munh se kuchh kaha na gaya 
guman ye tha ki bas do-qadam hai us ki gali 
qadam uThe to yahi do-qadam chala na gaya 
main ek barg-e-KHizan-dida hun zamin ka bojh 
hawa-e-dahr tere dosh par uDa na gaya 
ba-rang-e-gul rahe hum bhi mizaj-dan-e-bahaar 
bas ek bar hanse phir kabhi hansa na gaya 
ab aao din ki kahani likhen koi 'baqar' 
ki raat KHatm hui raat ka fasana gaya
        Ghazal
Hazar shukr kabhi tera aasra na gaya
Sajjad Baqar Rizvi

